Tum tou chaley gaye
Per zindagi nahi gaii
jo guzri saath zindagi
Mujh may. hi rah gaii
———————----------------------
Guzrey kal ko sab ne maazi kaha
Aur bhul gaye maazi ka bhi haal tha
Aane waale kal ki wahi to mashaal tha
Uski roshni ke baghair safar mohal tha
Kya kya manzar dil per naqsh hote rahe
Jin ke dum se haasil-e-zindagi ka Jamal tha
Sadiyon per muhit tha kul waqt ka hisaab
Na Jis ka Shumar ho saka dil ka kamal tha
Tukdon may butt gaya hai muntashar wajud
Her su chubta hua wahi ek sawaal tha
Akhir tu ne kyon chuna ishq-o-mohabbat ka raasta
Vasal-o-Hijr se parey wahan sirf tera khayaal tha
Meherbaniyan teri azeez hum ko itni theen Azeez
Teri inayeton ke baghair apna jeena mohaal tha




.jpg)