Search This Blog

Monday, May 6, 2024

Mohabbat kar ke dekh li humne......



Namak chidak kar mere zakhon per tum kya muskurate ho

Mere zakhmon ko dekho  muskurana is ko kehte hain

-------------------------------------------------------

Mohabbat per teer jub chalte hain tou khoon bhi nahi rista..honton per aah bhi nahi hoti..waqt ke zalim panje se dil azad hona bhi nahi chahta...ke is karb ka maza wahi dil jaane jis ne her rishte se derd paaya ho..

Sawal tou yehi hai sab ka..ke aisa kyon hai..

Jawab bas sadiyon purana hai..

Haqeeqat se unhein nazar jo churana hai..

Jahan dil bolta hai wahan nashter zuban ke tayar milte hain.

Jo dil wa hon unhi pe ye teer chalte hain..

---------------------------------------------------------

Mohabbat kar ke dekh li humne..

Ek umar ganwa kar ab ye raaz khula hai hum per

Apni fitrat ku na kar talaash  dusron ki fitrat may

Ye rangbirangi kainat gawah hai Adami ki  khaslat may

Agar ilham tujh ko muyesar hai ye inayet hai

Zaruri to nahi ke her koi tujh sa ho tabiyet may

Gareban kyon chaak hai kis liye aahwazari ye

Yehan her koi ghalthan hai apni apni musibat may

Tajziya na kar her dil ka,yehan dil kum kum hain

Teri zarurat hai her dil ko mahaz unki zarurat may

Ho sakta hai yehi uska andaz e karam ho shayed

derd  milte  hain derd ke maaron ko rahmat ki surat may

Saturday, April 13, 2024

jaate jaate ye tamasha bhi aam kar jaayenge....

 


kahan socha tha aap apni raah alag kar jaayenge

Kahan socha tha aap Zindagi se meri guzar jaayenge

log kehte hain sath waqt ke zakham bhar jaayenge

Is tarha ek aur teer mere ristey dil per chalayenge

jaate jaate ye tamasha bhi hum aam kar jaayenge

akhir khaali ankhon ke ilzam kis ke sar jaayenge

asan nahi tha un ka mujh se bichad jaana yon

ek umar le kar meri,akhir kaise mukar jaayenge

kya mai samjhun ke yaad ab unko kuch bhi nahi

ya udaas shaamon may chupke se uter aayenge

meri tanhaion ko bana lenge mohabbat ka gawah

ya apni khamoshiyon ko mere naam kar jaayenge

aye dil kise tha patta hum jeete ji mar jaayenge

vo zameen ki aghosh ko apna miskin banayenge

Darmyan asman aur zameen ke hum rah jaayenge

saathi umar bhar ke hum ko akela kar jaayenge

aye mosam-e-gul bata....




mere derd ki koi dawa nahi

is se pehle kya hua hi nahi 

ye itna bhi ab sawa  nahi

phir tou ye gila,gila hi nahi

--------------------------

aye mosam-e-gul bata

isme meri kya thi khata

arzu gulon ki tha chaman

gulon se ishq khizan ko bhi tha

pathjhad ka khauf dono ko tha

ek duje se bichadna taye jo tha

mosamon ki jawani thi mokhtasar

gulon ka husn bujhta hai peshter

khilti kaliyon ko bikherna bhi tha

daliyon se ekdin bichadna bhi tha

jaate jaate meheka gaye kitney dil

mehefil may sama unki khushbu se tha

qurbani koi rayegaan kabhi jaati nahi

ishq ke husn ko kabhi maut aati nahi

Thursday, April 11, 2024

ye daur bhi abur kar hi lenge....

 



koii ahat  na ummid-e-nau koii

bas sunnata aur hu ka alam hai

-------------------------------------

yon hi hota raha hoga is waqt-e- faani may

ye daur bhi abur kar hi lenge  zindgani may

rishta saayeban ka  deewaron se hai qayam

kya saaye sirf saath chalte hain  jawani may

takmil ke liye apni,adhure baab koshan hain

be sar-o-pa be-rabt unwan hain kahani may

akhir kyon jeena bhi mushkil  hai marna bhi

be-kasi ne maza paaya bhi tou lun tarani may

manzilein ehsaas ki taye hoti hain sherton per

her roz milta hai ek daras namkeen paani may

"wahadahu lashareeka lahu"pe hoti hai ibtida dil ki

agar samjhe tou hai faani madghum laa-faani may

Friday, March 15, 2024

Sukun



jis ko dhunda tu ne gali gali 
vo tou azal se tujh may hi tha
efa   ka waada tu tou bhul gaya
magar ahad rag-e-jaan may hi  tha
farar la-haasil   aye fareb-e-nazar
huma waaqt tu  uski nazar may tha
teri fitrat ne daawey tou bade kiye
magar kamal  iblis   ke jhaansey may tha
ghulba-e-nafs ne chin liya  tujhe,tujh se 
khalifa-e-waqt per ye  waqt aana hi   tha
ye daud teri tujh se tera sab le legi
sukun dil ka dil may uske hone se tha

is insaanon ke jungal may...

 


is insaanon ke jungal may

naam hai hum deewanon ka 

hosh ki baatein sab karte hain

magar saath hai paimanon ka

ye daur hisson ko le dooba hai

yehan shor hai mayekhanon ka

laakh samjhaya rab ki hikmat nay

magar hai haal wahi uchakte shaanon ka

ghafil agah hai aane waale kal say 

aadi hai pal do pal ke latafath khanon ka

ye duniya husn o ishq may ghalthan hai

ye mahaz pesh khima hai tufanon ka

rab ne kasar takhlikh may koi na rakhi

insan khud dushman hai apni jaanon ka

chund roza ayeshparasti ne haq faramosh kiya

warna adam bashinda tha azal se asmaanon ka

Thursday, February 15, 2024

Ishq hai martaba.....

 


badi dair se mila 

ye jalwa tera

raaz ab aaya samajh

ishq hai martaba

aye ishq marhaba

aye ishq marhaba

sab maanga kiye khushi

vo dhundta hai sada

lamatnahi derd ki intiha

is daur-e-jahad ke baad

jism kya dil bhi na raha

tujh se shuru tujhi pe khatam

adam ka hona tera silsila

kitne aaye gaye

ek tu dil se na gaya

in dhadkanon ke vird ka

hai tu hi wahed gawah